hum jis ko yaro apna ma’bud jaante hain
ham jis ko yaaro apnā mā’būd jānte haiñ
kaunain meñ usī ko maujūd jānte haiñ
aadam vo hai farishte karte haiñ jis ko sajde
munkir ko us ke ham to mardūd jānte haiñ
isbāt us kī hastī har chiiz meñ huī jab
nafī meñ apnī apnī bahbūd jānte haiñ
shāneñ usī kī sab haiñ ġhair-o-sivā kahāñ hai
is vāste sabhoñ ko masjūd jānte haiñ
un par khulī haiñ ramzeñ asrār do-jahāñ kī
jo ’aib aur hunar ko mahmūd jānte haiñ
buud un kī hai hamesha ai 'ishq ham se sun le
jo mā-sivā ko us ke nā-būd jānte haiñ
hum jis ko yaro apna ma’bud jaante hain
kaunain mein usi ko maujud jaante hain
aadam wo hai farishte karte hain jis ko sajde
munkir ko us ke hum to mardud jaante hain
isbaat us ki hasti har chiz mein hui jab
nafi mein apni apni bahbud jaante hain
shanen usi ki sab hain ghair-o-siwa kahan hai
is waste sabhon ko masjud jaante hain
un par khuli hain ramzen asrar do-jahan ki
jo ’aib aur hunar ko mahmud jaante hain
bud un ki hai hamesha ai 'ishq hum se sun le
jo ma-siwa ko us ke na-bud jaante hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.