hum jurm-e-mohabbat ke gunahgar hain yaro
hum jurm-e-mohabbat ke gunahgar hain yaro
Shah Niyaz Ahmad Barelvi
MORE BYShah Niyaz Ahmad Barelvi
ham jurm-e-mohabbat ke gunahgār haiñ yaaro
pakḌe haiñ kiye apne ko lo gardaneñ maaro
mushkil hai jo chup rahte haiñ jī hotā hai bekal
vo yaar burā maane hai gar ro-ro pukāro
gar rāhat-o-ārām gayā jaane do ai dil
sābit raho Tuk 'ishq meñ himmat ko na haaro
darḳhvāst bhalā.ī kī falak se nahīñ behtar
duuñ himmatoñ aage na miyāñ haath pasāro
jaao jahāñ hai sāqī-e-sarmast-e-qadah-nosh
kyuuñ aa.e hue jhuk-jhuk mirī āñkhoñ meñ kHumāro
sair-e-chaman-e-husn meñ kyā lutf-o-mazā thā
kidhar se nikal aa.e tum ai hijr ke kHāro
jab tak nahīñ vo shoḳh tumheñ dekhe hai ḳhūbāñ
ḳhurshīd ke nikle pe kahāñ hoge sitāro
phūlī na samātī thī kahīñ añg meñ apne
aatī hai ḳhizāñ rahiyo ḳhabar-dār bahāro
ai shāh-e-najaf huuñ maiñ 'niyāz' aap ke ghar kā
bigḌe mire sab kaam tumhīñ aan sañvāro
hum jurm-e-mohabbat ke gunahgar hain yaro
pakDe hain kiye apne ko lo gardanen maro
mushkil hai jo chup rahte hain ji hota hai bekal
wo yar bura mane hai gar ro-ro pukaro
gar rahat-o-aram gaya jaane do ai dil
sabit raho Tuk 'ishq mein himmat ko na haaro
darKHwast bhalai ki falak se nahin behtar
dun himmaton aage na miyan hath pasaro
jao jahan hai saqi-e-sarmast-e-qadah-nosh
kyun aae hue jhuk-jhuk meri aankhon mein kHumaro
sair-e-chaman-e-husn mein kya lutf-o-maza tha
kidhar se nikal aae tum ai hijr ke kHaro
jab tak nahin wo shoKH tumhein dekhe hai KHuban
KHurshid ke nikle pe kahan hoge sitaro
phuli na samati thi kahin ang mein apne
aati hai KHizan rahiyo KHabar-dar bahaaro
ai shah-e-najaf hun main 'niyaz' aap ke ghar ka
bigDe mere sab kaam tumhin aan sanwaro
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.