hum kyun ye kahen koi hamara nahin hota
ham kyuuñ ye kaheñ koī hamārā nahīñ hotā
maujoñ ke liye koī kinārā nahīñ hotā
dil TuuT bhī jaa.e to mohabbat nahīñ miTtī
is raah meñ luT kar bhī ḳhasārā nahīñ hotā
sarmāya-e-shab hote haiñ yuuñ to sabhī taare
har taarā magar sub.h kā taarā nahīñ hotā
ashkoñ se kahīñ miTtā hai ehsās-e-talavvun
paanī meñ jo ghul jaa.e vo paarā nahīñ hotā
sone kī tarāzū meñ mirā dard na taulo
imdād se ġhairat kā guzārā nahīñ hotā
tum bhī to 'muzaffar' kī kisī baat pe bolo
shā.er kā hī lafzoñ pe ijārā nahīñ hotā
hum kyun ye kahen koi hamara nahin hota
maujon ke liye koi kinara nahin hota
dil TuT bhi jae to mohabbat nahin miTti
is rah mein luT kar bhi KHasara nahin hota
sarmaya-e-shab hote hain yun to sabhi tare
har tara magar subh ka tara nahin hota
ashkon se kahin miTta hai ehsas-e-talawwun
pani mein jo ghul jae wo para nahin hota
sone ki taraazu mein mera dard na taulo
imdad se ghairat ka guzara nahin hota
tum bhi to 'muzaffar' ki kisi baat pe bolo
shaer ka hi lafzon pe ijara nahin hota
- Book : Karwan-e-Ghazal (Pg. 217)
- Publication : Farid Book Depot (2004)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.