humne kī hai tauba aur dhūmeñ machātī hai bahār
humne kī hai tauba aur dhūmeñ machātī hai bahār
Mirza Mazhar Jan-e-Janan
MORE BYMirza Mazhar Jan-e-Janan
ham ne kī hai tauba aur dhūmeñ machātī hai bahār
haa.e bas chaltā nahīñ kyā muft jaatī hai bahār
lāla-e-gul ne hamārī ḳhaak par Daalā hai shor
kyā qayāmat hai muoñ ko bhī satātī hai bahār
shāḳh-e-gul hiltī nahīñ ye bulbuloñ ko baaġh meñ
haath apne ke ishāre se bulātī hai bahār
ham giraftāroñ ko ab kyā kaam hai gulshan se lek
jī nikal jaatā hai jab sunte haiñ aatī hai bahār
nargis o gul kī khilī jaatī haiñ kaliyāñ dekho sab
phir bhī unhī ḳhvābīda fitnoñ ko jagātī hai bahār
hum ne kī hai tauba aur dhūmeñ machātī hai bahār
hae bas chaltā nahīñ kyā muft jatī hai bahār
lāla-e-gul ne hamārī ḳhak par Dalā hai shor
kyā qayāmat hai muoñ ko bhī satātī hai bahār
shāḳh-e-gul hiltī nahīñ ye bulbuloñ ko baġh meñ
hath apne ke ishāre se bulātī hai bahār
hum giraftāroñ ko ab kyā kaam hai gulshan se lek
jī nikal jatā hai jab sunte haiñ aatī hai bahār
nargis o gul kī khilī jatī haiñ kaliyāñ dekho sab
phir bhī unhī ḳhwābīda fitnoñ ko jagātī hai bahār
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.