hum shaukHi-e-andaz-e-jafa dekh rahe hain
ham shaukHī-e-andāz-e-jafā dekh rahe haiñ
hāthoñ meñ qiyāmat kī hinā dekh rahe haiñ
dil dekh rahe haiñ ki ḳhudā dekh rahe haiñ
ham husn meñ kyā jāniye kyā dekh rahe haiñ
parde meñ unheñ parda-kushā dekh rahe haiñ
phir shauq ba-andāz-e-hayā dekh rahe haiñ
ham aur koī mast ḳharābāt-e-javānī
tauba hai ki īmān gayā dekh rahe haiñ
har rañg meñ ham DhūñD rahe haiñ koī manzil
har raah meñ naqsh kaf-e-pā dekh rahe haiñ
ḳhalvat meñ 'nashvar' aap ko tasbīh mubārak
ham baaġh meñ haiñ aur ghaTā dekh rahe haiñ
hum shaukHi-e-andaz-e-jafa dekh rahe hain
hathon mein qiyamat ki hina dekh rahe hain
dil dekh rahe hain ki KHuda dekh rahe hain
hum husn mein kya jaaniye kya dekh rahe hain
parde mein unhen parda-kusha dekh rahe hain
phir shauq ba-andaz-e-haya dekh rahe hain
hum aur koi mast KHarabaat-e-jawani
tauba hai ki iman gaya dekh rahe hain
har rang mein hum DhunD rahe hain koi manzil
har rah mein naqsh kaf-e-pa dekh rahe hain
KHalwat mein 'nashwar' aap ko tasbih mubarak
hum bagh mein hain aur ghaTa dekh rahe hain
- Book : Tazkira-e-shora-e-Uttar Pradesh Voll.18 (Pg. 308)
- Author : Irfan Abbasi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.