hum us bazm mein mehman ja rahe hain
ham us bazm meñ mehmāñ jā rahe haiñ
bulāyā hai kis ne kahāñ jā rahe haiñ
uThe haiñ jo ḳhush ḳhush koī un se pūchhe
vo dafnā ke ham ko kahāñ jā rahe haiñ
mire ba.ad itnā ḳhayāl un ko aayā
miTāne lahad kā nishāñ jā rahe haiñ
adam ko jaane vaale adam ko sidhāre
kisī se na pūchhā kahāñ jā hai haiñ
ḳhudā hī pahuñchā.e un ko to pahuñcheñ
adam ko tere nā-tavāñ jā rahe haiñ
mujhe dar se uThvā ke kahte haiñ hañs kar
koī un se pūchhe kahāñ jā rahe haiñ
baḌe lutf se ham chale haiñ qafas ko
liye dosh par āshiyāñ jā rahe haiñ
kisī ne na ai maut ham ko batāyā
kahāñ se ham aa.e kahāñ jā rahe haiñ
ḳhajil hoñge mai-ḳhāne meñ shaiḳh-sāhab
mire saath hazrat kahāñ jā rahe haiñ
hum us bazm mein mehman ja rahe hain
bulaya hai kis ne kahan ja rahe hain
uThe hain jo KHush KHush koi un se puchhe
wo dafna ke hum ko kahan ja rahe hain
mere baad itna KHayal un ko aaya
miTane lahad ka nishan ja rahe hain
adam ko jaane wale adam ko sidhaare
kisi se na puchha kahan ja hai hain
KHuda hi pahunchae un ko to pahunchen
adam ko tere na-tawan ja rahe hain
mujhe dar se uThwa ke kahte hain hans kar
koi un se puchhe kahan ja rahe hain
baDe lutf se hum chale hain qafas ko
liye dosh par aashiyan ja rahe hain
kisi ne na ai maut hum ko bataya
kahan se hum aae kahan ja rahe hain
KHajil honge mai-KHane mein shaiKH-sahab
mere sath hazrat kahan ja rahe hain
- Book : Tazkira Shora-e-Warsia (Pg. 217)
- Publication : Fine Books Printers (1993)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.