hamare jama-e-hasti ko ek din chaak hona tha
hamāre jāma-e-hastī ko ik din chaak honā thā
hue the ḳhaak se paidā hameñ phir ḳhaak honā thā
tire ġhamze terī sharmīlī āñkhoñ se ye kahte haiñ
tumheñ jallād honā thā tumheñ saffāk honā thā
azal se murġh-e-dil ko ḳhatra-e-sayyād kyā hotā
ki us ko to asīr-e-halqa-e-fitrāk honā thā
shab-e-vaslat na uThtā beach se kyuuñ sharm kā parda
hameñ khel khelnā thā aap ko bebāk honā thā
mere hī dāna-e-dil kī thiiñ nau nau chakkiyāñ dushman
mujhī ko surma pis pis kar tah-e-aflāk honā thā
havā-e-dāman-e-jānāñ na apnī ḳhaak tak pahuñchī
muqaddar meñ to mamnūn-e-mazār-e-pāk honā thā
adū kyūñkar na aa jaatā yakāyak bazm-e-ishrat meñ
use bashshāsh honā thā mujhe ġhamnāk honā thā
siyah-baḳhtī mirī bhī o qalam ham-dam na kyuuñ hotī
mere siine ko bhī tire hī sūrat chaak honā thā
na hotī dil meñ ulfat apnī kyuuñ qātil ke abrū kī
ki mujh ko to qatīl-e-ḳhanjar-e-saffāk honā thā
jalāludddīn-ahmad kyuuñ na jaatā 'arsh' duniyā se
mujhe marg-e-pisar meñ marte-dam ġhamnāk honā thā
hamare jama-e-hasti ko ek din chaak hona tha
hue the KHak se paida hamein phir KHak hona tha
tere ghamze teri sharmili aankhon se ye kahte hain
tumhein jallad hona tha tumhein saffak hona tha
azal se murgh-e-dil ko KHatra-e-sayyaad kya hota
ki us ko to asir-e-halqa-e-fitrak hona tha
shab-e-waslat na uThta beach se kyun sharm ka parda
hamein khel khelna tha aap ko bebak hona tha
mere hi dana-e-dil ki thin nau nau chakkiyan dushman
mujhi ko surma pis pis kar tah-e-aflak hona tha
hawa-e-daman-e-jaanan na apni KHak tak pahunchi
muqaddar mein to mamnun-e-mazar-e-pak hona tha
adu kyunkar na aa jata yakayak bazm-e-ishrat mein
use bashshash hona tha mujhe ghamnak hona tha
siyah-baKHti meri bhi o qalam ham-dam na kyun hoti
mere sine ko bhi tere hi surat chaak hona tha
na hoti dil mein ulfat apni kyun qatil ke abru ki
ki mujh ko to qatil-e-KHanjar-e-saffak hona tha
jalaludddin-ahmad kyun na jata 'arsh' duniya se
mujhe marg-e-pisar mein marte-dam ghamnak hona tha
- Book : Kulliyat-e-Arsh (Pg. 61)
- Author : Allama Syed Zameeruddeen Ahmad
- Publication : Fine Art Press (1932)
- Edition : Second
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.