hamare mah-jabin ko shauq hai zulfen banane ka
hamāre mah-jabīñ ko shauq hai zulfeñ banāne kā
falak tū panja-e-ḳhurshīd se le kaam shāne kā
milā kyā hazrat-e-ādam ko phal jannat se aane kā
na kyuuñ us ġham se siina chaak ho gandum ke daane kā
karūñ huuñ qasd haath us zulf ko jab maiñ lagāne kā
to dil kahtā hai hai ye kaam muñh par maar khāne kā
ye kyā hai kahkashāñ us ko nahīñ koī batāne kā
nishāñ hai pusht-e-shabdez-e-falak par tāziyāne kā
dil-e-majrūh ko dikhlā na tāb-e-chehra-e-raushan
ki zaḳhmī ko muzir hai chāñdnī ke maar jaane kā
nahīñ saa.e kī kuchh hājat siyah-kāroñ ke marqad par
kare hai abr-e-rahmat kaam dekho shāmiyāne kā
dilāo yaad us chashm-e-mufttin kī na ham-chashmo
nahīñ maiñ fitna-e-ḳhvābīda ko hargiz jagāne kā
vo hai mo.ajiz-numā gesū meñ aks-e-tāb-e-rū terā
yad-e-baizā se ham-sar ban gayā hai haat shāne kā
vo ā.īne meñ kyā aks-e-ruḳh-e-gulnār dekhe hai
hunar hai yaad us ko aag paanī meñ lagāne kā
nahīñ rakhtī hai ye fikr-e-ma.īshat kis ko gardish meñ
ki sañg-e-āsiyā bhī hai sadā muhtāj daane kā
dikhānā hai to dikhlā baam par Tuk jalva-e-sūrat
qayāmat ko nahīñ koī kisī ke kaam aane kā
'nasīr' is bahr meñ ab dūsrī likh kar ġhazal paḌhiye
tumhārā kaam hai mazmūn-e-nau ke bāñdh laane kā
hamare mah-jabin ko shauq hai zulfen banane ka
falak tu panja-e-KHurshid se le kaam shane ka
mila kya hazrat-e-adam ko phal jannat se aane ka
na kyun us gham se sina chaak ho gandum ke dane ka
karun hun qasd hath us zulf ko jab main lagane ka
to dil kahta hai hai ye kaam munh par mar khane ka
ye kya hai kahkashan us ko nahin koi batane ka
nishan hai pusht-e-shabdez-e-falak par taziyane ka
dil-e-majruh ko dikhla na tab-e-chehra-e-raushan
ki zaKHmi ko muzir hai chandni ke mar jaane ka
nahin sae ki kuchh hajat siyah-karon ke marqad par
kare hai abr-e-rahmat kaam dekho shamiyane ka
dilao yaad us chashm-e-mufttin ki na ham-chashmo
nahin main fitna-e-KHwabida ko hargiz jagane ka
wo hai moajiz-numa gesu mein aks-e-tab-e-ru tera
yad-e-baiza se ham-sar ban gaya hai hat shane ka
wo aaine mein kya aks-e-ruKH-e-gulnar dekhe hai
hunar hai yaad us ko aag pani mein lagane ka
nahin rakhti hai ye fikr-e-maishat kis ko gardish mein
ki sang-e-asiya bhi hai sada muhtaj dane ka
dikhana hai to dikhla baam par Tuk jalwa-e-surat
qayamat ko nahin koi kisi ke kaam aane ka
'nasir' is bahr mein ab dusri likh kar ghazal paDhiye
tumhaara kaam hai mazmun-e-nau ke bandh lane ka
- Book : Kulliyat-e-Shah Naseer Edited: Tanwir Ahmad Alvi (Pg. 159)
- Author : Shah Naseer
- Publication : Majlis-e-Taraqqi Adab, Lahur (1971)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.