aap ke dar ka jo bhi gada ho gaya
aap ke dar kā jo bhī gadā ho gayā
us kā shāhoñ se rutba baḌā ho gayā
past jo hausle the hue auj par
aate hī aap ke kyā se kyā ho gayā
zulmateñ chhā rahī thiiñ jahāñ chār-sū
aap kā nuur shamsuzzuhā ho gayā
un kī mahbūbiyat kā hai kahnā hī kyā
jin ke āshiq pe āshiq ḳhudā ho gayā
jādā-e-ishq ke rāh-rau ke liye
raah par aap kā naqsh-e-pā ho gayā
aap ke dar ka jo bhi gada ho gaya
us ka shahon se rutba baDa ho gaya
past jo hausle the hue auj par
aate hi aap ke kya se kya ho gaya
zulmaten chha rahi thin jahan chaar-su
aap ka nur shamsuzzuha ho gaya
un ki mahbubiyat ka hai kahna hi kya
jin ke aashiq pe aashiq KHuda ho gaya
jada-e-ishq ke rah-rau ke liye
rah par aap ka naqsh-e-pa ho gaya
- Book : Dabistan-E-Azimabad (Pg. 95)
- Publication : निखार प्रेस मऊ नाथ भंजन (1982)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.