hamein aaya agar kuchh zauq apni KHud-numai ka
Interesting Fact
(ماہنامہ ’’صحیفۂ وارث‘‘جمادی الاول ۱۳۳۶ ھ دیویٰ شریف
hameñ aayā agar kuchh zauq apnī ḳhud-numā.ī kā
pukār uTThegā ḳhud hī naaz us kī kibriyā.ī kā
maza meñ dam bharā vāris kī sachchī āshnā.ī kā
ye kyā ma.alūm thā ham ko ki ġham hogā judā.ī kā
ḳhudā samjhe tujhe nāseh malāmat par malāmat kī
kiyā āḳhir ko tū ne faash parda pārsā.ī kā
tumhārī chashm-e-pur-fitna ke ye saare karishme haiñ
churā laa.e kisī kā dil maraz hai dilrubā.ī kā
falak ḳhud piir hai gardish satā.e aap hī us ko
usī se aah ko shikva hai apnī nā-rasā.ī kā
dikhā do jalva-e-vāris ki ham mushtāq marte haiñ
agar kuchh bhī tumheñ da.avā hai apnī ḳhud-numā.ī kā
kiyā karte haiñ kāfir aur momin vārsī sajda
'fidā' kis aañkh se dekheñ tamāsha hai ḳhudā.ī kā
hamein aaya agar kuchh zauq apni KHud-numai ka
pukar uTThega KHud hi naz us ki kibriyai ka
maza mein dam bhara waris ki sachchi aashnai ka
ye kya malum tha hum ko ki gham hoga judai ka
KHuda samjhe tujhe naseh malamat par malamat ki
kiya aaKHir ko tu ne fash parda parsai ka
tumhaari chashm-e-pur-fitna ke ye sare karishme hain
chura lae kisi ka dil maraz hai dilrubai ka
falak KHud pir hai gardish satae aap hi us ko
usi se aah ko shikwa hai apni na-rasai ka
dikha do jalwa-e-waris ki hum mushtaq marte hain
agar kuchh bhi tumhein dawa hai apni KHud-numai ka
kiya karte hain kafir aur momin warsi sajda
'fida' kis aankh se dekhen tamasha hai KHudai ka
- Book : Tazkira Shora-e-Warsia (Pg. 227)
- Publication : Fine Books Printers (1993)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.