hamein zamana hua un se dil lagae hue
hameñ zamāna huā un se dil lagā.e hue
adam se aa.e haiñ sar par ye bojh uThā.e hue
mujhī se chalte haiñ chāleñ mere sikhā.e hue
miTāne aa.e haiñ mujh ko mere banā.e hue
shab-e-visāl sahar ho ga.ī vo jaate haiñ
maiñ donoñ hāthoñ se baiThā huuñ dil dabā.e hue
ġhazab huā ke bhaḌak uThī ātish-e-ulfat
ye aag siine meñ the kab se ham dabā.e hue
ishāra kījiye teġh-e-nigah ko der hai kyā
ye kushtanī haiñ khaḌe gardaneñ jhukā.e hue
azal se ye dil majrūh hai shikār un kā
ham āj-kal se nahīñ tīr-e-ishq khaa.e hue
hamāre dil meñ hai sham.a ruḳh-e-sanam raushan
charāġh-e-dair se haiñ ham to lau lagā.e hue
dikhā do ik jhalak phir jamāl raushan kī
ham aaj hosh meñ haiñ muddatoñ parā.e hue
jache nazar meñ bhalā apnī kyā husain koī
nigāh meñ to mirī aap haiñ samā.e hue
jahāñ meñ ii.d thī kal jin kī diid kī ‘akbar’
paḌe haiñ aaj lahad meñ vo muñh chhupā.e hue
hamein zamana hua un se dil lagae hue
adam se aae hain sar par ye bojh uThae hue
mujhi se chalte hain chaalen mere sikhae hue
miTane aae hain mujh ko mere banae hue
shab-e-visal sahar ho gai wo jate hain
main donon hathon se baiTha hun dil dabae hue
ghazab hua ke bhaDak uThi aatish-e-ulfat
ye aag sine mein the kab se hum dabae hue
ishaara kijiye tegh-e-nigah ko der hai kya
ye kushtani hain khaDe gardanen jhukae hue
azal se ye dil majruh hai shikar un ka
hum aaj-kal se nahin tir-e-ishq khae hue
hamare dil mein hai shama ruKH-e-sanam raushan
charagh-e-dair se hain hum to lau lagae hue
dikha do ek jhalak phir jamal raushan ki
hum aaj hosh mein hain muddaton parae hue
jache nazar mein bhala apni kya husain koi
nigah mein to meri aap hain samae hue
jahan mein id thi kal jin ki did ki ‘akbar’
paDe hain aaj lahad mein wo munh chhupae hue
- Book : Tajalliyat-e-ishq (Pg. 312)
- Author :Shah Akbar Danapuri
- Publication : Shaukat Shahjehani, Agra (1896)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.