lazzat-e-behoshiyon se aashna ho jae hosh
lazzat-e-behoshiyoñ se āshnā ho jaa.e hosh
hosh ko behoshiyoñ kā kaash kuchh aa jaa.e hosh
chāñd sā chehra hasīñ zulfeñ sitāre maañg meñ
sāmne baiThe raheñ vo aur sajtā jaa.e hosh
chupke-chupke muskurā kar dekhte haiñ vo mujhe
kyā ḳhabar un ko koī bīmār khotā jaa.e hosh
us kā andāz-e-karam pāgal banā.e hai mujhe
jab maiñ us ko dekhtā huuñ merā baḌhtā jaa.e hosh
har qadam par un kī qurbat kā mujhe ehsās ho
is adā se un kī jānib merā baḌhtā jaa.e hosh
'rāhī' us ke husn kī tārīf ho kis se bayāñ
jo bayāñ karne pe aa.e vo hī khotā jaa.e hosh
lazzat-e-behoshiyon se aashna ho jae hosh
hosh ko behoshiyon ka kash kuchh aa jae hosh
chand sa chehra hasin zulfen sitare mang mein
samne baiThe rahen wo aur sajta jae hosh
chupke-chupke muskura kar dekhte hain wo mujhe
kya KHabar un ko koi bimar khota jae hosh
us ka andaz-e-karam pagal banae hai mujhe
jab main us ko dekhta hun mera baDhta jae hosh
har qadam par un ki qurbat ka mujhe ehsas ho
is ada se un ki jaanib mera baDhta jae hosh
'rahi' us ke husn ki tarif ho kis se bayan
jo bayan karne pe aae wo hi khota jae hosh
- Book : Sukhan Waraan-e-Izzat (Pg. 233)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.