har aankh mein masti hai kahiye bhi to kya kahiye
har aankh mein masti hai kahiye bhi to kya kahiye
Aziz Warsi Dehlvi
MORE BYAziz Warsi Dehlvi
har aañkh meñ mastī hai kahiye bhī to kyā kahiye
aur aap kī bastī hai kahiye bhī to kyā kahiye
har shai se kinārā bhī aur anjuman-ārā bhī
kyā aap kī hastī hai kahiye bhī to kyā kahiye
but-ḳhāne meñ din kaaTā maiḳhāne meñ shab guzrī
nashsha hai na mastī hai kahiye bhī to kyā kahiye
ye daur-e-sanam-parvar har shaḳhs yahāñ aazar
sahrā hai na bastī hai kahiye bhī to kyā kahiye
vo mahfil-e-rindāñ ho yā bazm-e-suḳhan-dāñ ho
ahbāb-parastī hai kahiye bhī to kyā kahiye
zāhid kī subuk-fitrat rindoñ pe hamesha se
āvāza hī kastī hai kahiye bhī to kyā kahiye
ahbāb kī āñkhoñ meñ jo uns kī nāgan hai
ahbāb ko Dastī hai kahiye bhī to kyā kahiye
ik jins-e-kudūrat thī jo pahle hī sastī thī
ab aur bhī sastī hai kahiye bhī to kyā kahiye
duniyā se 'azīz' us kī hotī hai mohabbat bhī
duniyā jise Dastī hai kahiye bhī to kyā kahiye
har aankh mein masti hai kahiye bhi to kya kahiye
aur aap ki basti hai kahiye bhi to kya kahiye
har shai se kinara bhi aur anjuman-ara bhi
kya aap ki hasti hai kahiye bhi to kya kahiye
but-KHane mein din kaTa maiKHane mein shab guzri
nashsha hai na masti hai kahiye bhi to kya kahiye
ye daur-e-sanam-parwar har shaKHs yahan aazar
sahra hai na basti hai kahiye bhi to kya kahiye
wo mahfil-e-rindan ho ya bazm-e-suKHan-dan ho
ahbab-parasti hai kahiye bhi to kya kahiye
zahid ki subuk-fitrat rindon pe hamesha se
aawaza hi kasti hai kahiye bhi to kya kahiye
ahbab ki aankhon mein jo uns ki nagan hai
ahbab ko Dasti hai kahiye bhi to kya kahiye
ek jins-e-kudurat thi jo pahle hi sasti thi
ab aur bhi sasti hai kahiye bhi to kya kahiye
duniya se 'aziz' us ki hoti hai mohabbat bhi
duniya jise Dasti hai kahiye bhi to kya kahiye
- Book : Kulliyat-e-Azeez (Pg. 120)
- Author : Azeez Warsi
- Publication : Markazi Printers,Chudiwalan,Delhi (1993)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.