har ek jalwa hai mushtaq dilrubai mein
har ek jalva hai mushtāq dilrubā.ī meñ
ye kaisī luuT hai yārab tirī ḳhudā.ī meñ
bhaḌak rahe haiñ har ik samt tuur ke sho.ale
kamāl hai ye terī shān-e-ḳhud-numā.ī meñ
ba-yād-e-mast-nigāhī chashm piitā huuñ
bharī hai mai jo mire jām-e-pārsā.ī meñ
vahīñ pe Duub ke dil rah gayā ḳhudā kī qasam
uThī jo mauj kahīñ bahr-e-dilrubā.ī meñ
idhar to āñkhoñ meñ aañsū udhar ḳhayāl meñ vo
baḌe maze se kaTī zindagī judā.ī meñ
chhupā huā kahīñ ka.aba bhī but-kada meñ thā
ḳhudā milā hai mujhe but kī āshnā.ī meñ
vahī zamāna meñ 'qaisar' banā ḳhudā kī qasam
ki jis ne umr guzārī terī gadā.ī meñ
har ek jalwa hai mushtaq dilrubai mein
ye kaisi luT hai yarab teri KHudai mein
bhaDak rahe hain har ek samt tur ke shoale
kamal hai ye teri shan-e-KHud-numai mein
ba-yaad-e-mast-nigahi chashm pita hun
bhari hai mai jo mere jam-e-parsai mein
wahin pe Dub ke dil rah gaya KHuda ki qasam
uThi jo mauj kahin bahr-e-dilrubai mein
idhar to aankhon mein aansu udhar KHayal mein wo
baDe maze se kaTi zindagi judai mein
chhupa hua kahin kaba bhi but-kada mein tha
KHuda mila hai mujhe but ki aashnai mein
wahi zamana mein 'qaisar' bana KHuda ki qasam
ki jis ne umr guzari teri gadai mein
- Book : Tazkira Shora-e-Warsia (Pg. 207)
- Publication : Fine Books Printers (1993)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.