har ghaḌī pesh-e-nazar ishq meñ kyā kyā na rahā
har ghaḌī pesh-e-nazar ishq meñ kyā kyā na rahā
merā dil bas tirī tasvīr kā dīvāna rahā
ye sitam mujh pe mire ishq kā achchhā na rahā
tujh ko dekhā to mirā dil mirā apnā na rahā
aisā mad.hosh kiyā terī tajallī ne mujhe
tuur bhī mere liye vaj.h-e-tamāsha na rahā
yuuñ tire naqsh-e-kaf-e-pā pe adā kī hai namāz
sar meñ ka.aba ke liye ek bhī sajda na rahā
zindagānī tujhe le jā.ūñ meñ kis ke dar par
dil meñ hasrat na rahī sar meñ bhī saudā na rahā
vo na ka.abe meñ milā hai na sanam-ḳhāne meñ
kyā qayāmat hai ki vo shoḳh kisī kā na rahā
ibtidā ye thī ki maiñ apnā samajhtā thā unheñ
intihā ye hai ki maiñ aap bhī apnā na rahā
vo parāyā thā 'fanā' is kā gilā kyā kiije
ġham to ye hai ki maiñ ḳhud aap bhī apnā na rahā
har ghaḌī pesh-e-nazar ishq meñ kyā kyā na rahā
merā dil bas tirī taswīr kā dīwāna rahā
ye sitam mujh pe mere ishq kā achchhā na rahā
tujh ko dekhā to mirā dil mirā apnā na rahā
aisā madhosh kiyā terī tajallī ne mujhe
tur bhī mere liye wajh-e-tamāsha na rahā
yuñ tere naqsh-e-kaf-e-pā pe adā kī hai namāz
sar meñ kaba ke liye ek bhī sajda na rahā
zindagānī tujhe le jāūñ meñ kis ke dar par
dil meñ hasrat na rahī sar meñ bhī saudā na rahā
wo na kabe meñ milā hai na sanam-ḳhāne meñ
kyā qayāmat hai ki wo shoḳh kisī kā na rahā
ibtidā ye thī ki maiñ apnā samajhtā thā unheñ
intihā ye hai ki maiñ aap bhī apnā na rahā
wo parāyā thā 'fanā' is kā gilā kyā kije
ġham to ye hai ki maiñ ḳhud aap bhī apnā na rahā
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.