har jagah hota hai didar koi dekhe to
har jagah hotā hai dīdār koī dekhe to
haiñ har ik shakl meñ sarkār koī dekhe to
dil hī hai jalva-gah-e-yār koī dekhe to
āñkheñ haiñ rauzan-e-dīvār koī dekhe to
khul gayā parda-e-asrār koī dekhe to
nazar aane lagā dildār koī dekhe to
phir tire kākul-e-pechāñ kā ḳharīde saudā
pahle bik kar sar-e-bāzār koī dekhe to
nahnu-aqrab hī pe mauqūf nahīñ diid tirī
tū to har jā hai numūdār koī dekhe to
sun ke naale mere farmāte haiñ ḳhāmosh karo
kaun royā pas-e-dīvār koī dekhe to
parda-e-mahmil-e-jāñ kā mazā aatā hai
thaam kar dāman-e-kohsār koī dekhe to
haram-o-dair meñ rū-posh jo thā parda-nashīñ
phir rahā hai sar-e-bāzār koī dekhe to
nigah-e-mast ne saaqī tirī be-shīsha-o-jām
kar diyā hai hameñ sarshār koī dekhe to
samma-vajhul-lahi paḌhā jab to huā ye ma.alūm
ki hai har sū ruḳh-e-dil-dār koī dekhe to
har taraf ka.aba-e-ushshāq hai sajda ke liye
hai har ik dar dar-e-dildār koī dekhe to
bām-e-dildār kā ziina hai ye daar ai 'bedam'
de ke sar chaḌh ke sar-e-dār koī dekhe to
har jagah hota hai didar koi dekhe to
hain har ek shakl mein sarkar koi dekhe to
dil hi hai jalwa-gah-e-yar koi dekhe to
aankhen hain rauzan-e-diwar koi dekhe to
khul gaya parda-e-asrar koi dekhe to
nazar aane laga dildar koi dekhe to
phir tere kakul-e-pechan ka KHaride sauda
pahle bik kar sar-e-bazar koi dekhe to
nahnu-aqrab hi pe mauquf nahin did teri
tu to har ja hai numudar koi dekhe to
sun ke nale mere farmate hain KHamosh karo
kaun roya pas-e-diwar koi dekhe to
parda-e-mahmil-e-jaan ka maza aata hai
tham kar daman-e-kohsar koi dekhe to
haram-o-dair mein ru-posh jo tha parda-nashin
phir raha hai sar-e-bazar koi dekhe to
nigah-e-mast ne saqi teri be-shisha-o-jam
kar diya hai hamein sarshaar koi dekhe to
samma-wajhul-lahi paDha jab to hua ye malum
ki hai har su ruKH-e-dil-dar koi dekhe to
har taraf kaba-e-ushshaq hai sajda ke liye
hai har ek dar dar-e-dildar koi dekhe to
baam-e-dildar ka zina hai ye dar ai 'bedam'
de ke sar chaDh ke sar-e-dar koi dekhe to
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.