har jehd-e-musalsal se meri ek shakl numayan hoti hai
har jehd-e-musalsal se merī ik shakl numāyāñ hotī hai
jo ġham kā mudāvā hotī hai jo dard kā darmāñ hotī hai
kashtī hai bhañvar meñ mauj-e-balā hai phir bhī mujhe kuchh ḳhauf nahīñ hai
har lahza mirī garmī-e-amal ik dushman-e-tūfāñ hotī hai
anvār kā chhupnā mushkil hai is shab kī añdherī chādar meñ
āġhāze-e- sahar kī tābish se zulmat bhī pareshāñ hotī hai
har jehd-e-musalsal se meri ek shakl numayan hoti hai
jo gham ka mudawa hoti hai jo dard ka darman hoti hai
kashti hai bhanwar mein mauj-e-bala hai phir bhi mujhe kuchh KHauf nahin hai
har lahza meri garmi-e-amal ek dushman-e-tufan hoti hai
anwar ka chhupna mushkil hai is shab ki andheri chadar mein
aaghaze-e- sahar ki tabish se zulmat bhi pareshan hoti hai
- Book : Tazkira Muslim Sho’ra-e-Bihar Voll-5 (Pg. 5)
- Author : Hakeem Syed Ahmadullah Nadwi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.