har-lahza teri hi guftugu hai
har-lahza tirī hī guftugū hai
har-vaqt tirī hī justujū hai
gulzār meñ hai bahār tirī
phūloñ meñ tirā hī rañg-o-bū hai
bulbul tirā naġhma gā rahī hai
koyal be-tāb kū-ba-kū hai
har aañkh ko hai tirī tamannā
har dil meñ tirī hī aarzū hai
chakkar meñ paḌe haiñ māh-o-ḳhurshīd
har zarra ko terī justujū hai
avval āḳhir hai tū hī sab kuchh
zāhir bātin jo kuchh hai tū hai
har-lahza teri hi guftugu hai
har-waqt teri hi justuju hai
gulzar mein hai bahaar teri
phulon mein tera hi rang-o-bu hai
bulbul tera naghma ga rahi hai
koyal be-tab ku-ba-ku hai
har aankh ko hai teri tamanna
har dil mein teri hi aarzu hai
chakkar mein paDe hain mah-o-KHurshid
har zarra ko teri justuju hai
awwal aaKHir hai tu hi sab kuchh
zahir baatin jo kuchh hai tu hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.