har taraf thi gunj teri qaul ki azkar mein
har taraf thī guuñj tirī qaul kī azkār meñ
ibtidā raushan huī thī sirf ik iz.hār meñ
jalva-e-haq meñ nazar hai haq pe parda hai bashar
ḳhaak bhī raqsāñ huī hai 'arsa-e-isrār meñ
tishnagī rahmat se gūñjī lab the ḳhāmoshī ke ghar
nuur kī lahreñ uThī thiiñ gosha-e-azkār meñ
harf-e-haq jo tū ne bolā kaañp uTThā har jigar
larzisheñ taqdīr kī bhī thiiñ tirī afkār meñ
qalb meñ gūñjī sadā.eñ lafz-e-ilhām-o-nazar
raushnī mahdūd na ho sirf ik mīnār meñ
qudsiyat ke jalvoñ ne jab raqs farmāyā miyāñ
tūr-e-hastī Dhah gayā bas ik tasavvur kaar meñ
naqsh aisā apnī tahrīroñ meñ 'amjad' chhoḌ de
sham' kī mānind ho tābish tire ash'ār meñ
har taraf thi gunj teri qaul ki azkar mein
ibtida raushan hui thi sirf ek izhaar mein
jalwa-e-haq mein nazar hai haq pe parda hai bashar
KHak bhi raqsan hui hai 'arsa-e-israr mein
tishnagi rahmat se gunji lab the KHamoshi ke ghar
nur ki lahren uThi thin gosha-e-azkar mein
harf-e-haq jo tu ne bola kanp uTTha har jigar
larzishen taqdir ki bhi thin teri afkar mein
qalb mein gunji sadaen lafz-e-ilham-o-nazar
raushni mahdud na ho sirf ek minar mein
qudsiyat ke jalwon ne jab raqs farmaya miyan
tur-e-hasti Dhah gaya bas ek tasawwur kar mein
naqsh aisa apni tahriron mein 'amjad' chhoD de
sham' ki manind ho tabish tere ash'ar mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.