haram aur dair ki jab se parastish chhoD di humne
haram aur dair ki jab se parastish chhoD di humne
Aziz Warsi Dehlvi
MORE BYAziz Warsi Dehlvi
haram aur dair kī jab se parastish chhoḌ dī ham ne
har ik zarre meñ dekhī sirf terī raushnī ham ne
ḳhushī to phir ḳhushī hai rañj ko samjhā ḳhushī ham ne
tirī ḳhātir badal Daalā nizām-e-zindagī ham ne
tumhārī shakl pahle bhī bahut hī ḳhūbsūrat thī
parastish karte karte baḳhsh dī raḳhshandagī ham ne
sanam-ḳhāne meñ but puuje haram meñ sajda-rezī kī
jo terī raah thī vo raah āḳhir DhūñDh lī ham ne
vafā kī raah meñ badnām donoñ kyuuñ hue socho
vafā kī raah chhoḌī hai kabhī tum ne kabhī ham ne
jahāñ tak bhī shu.ūr-e-āgahī ne dastaras paa.ī
vahāñ tak to sañvārā hai mazāq-e-bandagī ham ne
hamārī zindagī meñ husn hai naġhma hai shoḳhī hai
hasīnoñ meñ guzārī hai 'azīz-e-vārsī' ham ne
haram aur dair ki jab se parastish chhoD di hum ne
har ek zarre mein dekhi sirf teri raushni hum ne
KHushi to phir KHushi hai ranj ko samjha KHushi hum ne
teri KHatir badal Dala nizam-e-zindagi hum ne
tumhaari shakl pahle bhi bahut hi KHubsurat thi
parastish karte karte baKHsh di raKHshandagi hum ne
sanam-KHane mein but puje haram mein sajda-rezi ki
jo teri rah thi wo rah aaKHir DhunDh li hum ne
wafa ki rah mein badnam donon kyun hue socho
wafa ki rah chhoDi hai kabhi tum ne kabhi hum ne
jahan tak bhi shuur-e-agahi ne dastaras pai
wahan tak to sanwara hai mazaq-e-bandagi hum ne
hamari zindagi mein husn hai naghma hai shoKHi hai
hasinon mein guzari hai 'aziz-e-warsi' hum ne
- Book : Kulliyat-e-Azeez (Pg. 110)
- Author : Azeez Warsi
- Publication : Markazi Printers,Chudiwalan,Delhi (1993)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.