agar dil mein raho aankhon ki virani nahin jati
agar dil meñ raho āñkhoñ kī vīrānī nahīñ jaatī
nazar meñ aa baso to dil kī hairānī nahīñ jaatī
mire ahbāb kyuuñ milte hue mujh se hichakte haiñ
vafūr-e-ġham se kyā sūrat bhī pahchānī nahīñ jaatī
jo ḳhuub dasht-e-fitrat hai vo zāhir ho ke rahtā hai
libāsoñ se jo sach pūchho to ‘uryānī nahīñ jaatī
havādis pai-ba-pai hushiyār karte rahte haiñ tujh ko
magar ġhaflat tirī ai aadam faanī nahīñ jaatī hai
havas duniyā-e-dūñ kī dil se nikle saḳht mushkil hai
chalī jaatī to hai lekin ba-āsānī nahīñ jaatī
agar dil mein raho aankhon ki virani nahin jati
nazar mein aa baso to dil ki hairani nahin jati
mere ahbab kyun milte hue mujh se hichakte hain
wafur-e-gham se kya surat bhi pahchani nahin jati
jo KHub dasht-e-fitrat hai wo zahir ho ke rahta hai
libason se jo sach puchho to ‘uryani nahin jati
hawadis pai-ba-pai hushiyar karte rahte hain tujh ko
magar ghaflat teri ai aadam fani nahin jati hai
hawas duniya-e-dun ki dil se nikle saKHt mushkil hai
chali jati to hai lekin ba-asani nahin jati
- Book : Sukhanwaraan-e-Watan (Pg. 170)
- Author : Riyaz Gayavi
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.