kya kHub tamasha hai meri KHush-nazari ka
kyā kHuub tamāsha hai mirī ḳhush-nazarī kā
ā.īna hairat hoñ tirī jalvagarī kā
madd-e-nazar āgahī-o-dīda-darī kā
simTā huā halqa hai mirī be-ḳhabarī kā
parda ruḳh-e-raushan se uThātā vo kahāñ hai
dhokā koī khātā hī nahīñ be-basarī kā
manzil muta'ayyan nahīñ be-rāh-raon kī
mushkil hai salīqa bhī yahāñ rāhbarī kā
simTe hue ġhunche haiñ pareshān hai ḳhushbū
phailā huā dāman hai nasīm-e-saharī kā
dāman kā pata hai na garebāñ kī ḳhabar hai
mausam abhī aayā bhī nahīñ jaama darī kā
pahle bhī sar ḳham thī 'hasan' ḳhisht-e-kalīsā
ab ḳhāna-bar-andāz hai husn-e-america
kya kHub tamasha hai meri KHush-nazari ka
aaina hairat hon teri jalwagari ka
madd-e-nazar aagahi-o-dida-dari ka
simTa hua halqa hai meri be-KHabari ka
parda ruKH-e-raushan se uThata wo kahan hai
dhoka koi khata hi nahin be-basari ka
manzil muta'ayyan nahin be-rah-raon ki
mushkil hai saliqa bhi yahan rahbari ka
simTe hue ghunche hain pareshan hai KHushbu
phaila hua daman hai nasim-e-sahari ka
daman ka pata hai na gareban ki KHabar hai
mausam abhi aaya bhi nahin jama dari ka
pahle bhi sar KHam thi 'hasan' KHisht-e-kalisa
ab KHana-bar-andaz hai husn-e-america
- Book : Sukhanwaraan-e-Watan (Pg. 171)
- Author : Riyaz Gayavi
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.