phir matam-e-bahaar ka saman kiye hue
phir mātam-e-bahār kā sāmāñ kiye hue
shāḳhoñ pe gul haiñ chāk-e-garebāñ kiye hue
phir le chalā hai soz-e-darūñ sū-e-lāla-zār
pahlū meñ dāġh-e-dil se charāġhāñ kiye hue
phir murda ārzuoñ pe hasrat hai nauha-ḳhvāñ
siine meñ dil ko gor-e-ġharībāñ kiye hue
āñkhoñ ko phir hai hasrat-e-nazāra-e-jamāl
dil ik nigāh-e-nāz pe qurbāñ kiye hue
phir aake mere ḳhāna-e-dil meñ kisī kī yaad
ābād ghar ko jaatī hai vīrāñ kiye hue
phir dair ko chalā huuñ paye-sajda-e-niyāz
ruḳh suu.ye qibla dar-e-jānāñ kiye hue
bikhrā.e zulfeñ phir koī aayā hai ḳhvāb meñ
shīrāza-e-ḳhayāl pareshāñ kiye hue
phir DhūñDtī hai kho.e hue hosh be-ḳhudī
āñkhoñ ko mast shā.er-e-irfāñ kiye hue
ai chāra-gar hai phir mujhe zauq-e-jafā pe naaz
zaḳhmoñ ko be-niyāz namak-dāñ kiye hue
phir pursish gunāh se be-ġham haiñ hashr meñ
dīvāne tere chāk-garebāñ kiye hue
majbūr zabt-e-ishq hai phir chashm-e-tar 'shafaq'
kuuze meñ band nuuh kā tūfāñ kiye hue
phir matam-e-bahaar ka saman kiye hue
shaKHon pe gul hain chaak-e-gareban kiye hue
phir le chala hai soz-e-darun su-e-lala-zar
pahlu mein dagh-e-dil se charaghan kiye hue
phir murda aarzuon pe hasrat hai nauha-KHwan
sine mein dil ko gor-e-ghariban kiye hue
aankhon ko phir hai hasrat-e-nazara-e-jamal
dil ek nigah-e-naz pe qurban kiye hue
phir aake mere KHana-e-dil mein kisi ki yaad
aabaad ghar ko jati hai viran kiye hue
phir dair ko chala hun paye-sajda-e-niyaz
ruKH suye qibla dar-e-jaanan kiye hue
bikhrae zulfen phir koi aaya hai KHwab mein
shiraaza-e-KHayal pareshan kiye hue
phir DhunDti hai khoe hue hosh be-KHudi
aankhon ko mast shaer-e-irfan kiye hue
ai chaara-gar hai phir mujhe zauq-e-jafa pe naz
zaKHmon ko be-niyaz namak-dan kiye hue
phir pursish gunah se be-gham hain hashr mein
diwane tere chaak-gareban kiye hue
majbur zabt-e-ishq hai phir chashm-e-tar 'shafaq'
kuze mein band nuh ka tufan kiye hue
- Book : Tazkira-e-shora-e-Uttar Pradesh Voll.XI (Pg. 170)
- Author : Irfan Abbasi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.