hum us kuche ko jazb-e-shauq ki manzil samajhte hain
ham us kūche ko jazb-e-shauq kī manzil samajhte haiñ
dar-e-jānāñ ke har zarra ko apnā dil samajhte haiñ
ubharnā Dūbne ko ishq meñ ai dil samajhte haiñ
ye vo dariyā hai jis kī tah ko ham sāhil samajhte haiñ
taḌaptī ḳhaak par josh-e-jahāñ dikhlā.ī detī hai
ham is ko zauq-e-betābī meñ apnā dil samajhte haiñ
bīmār har karvaT ko ik manzil samajhte haiñ
dard un ke liye hai naġhma ishrat
vo nāloñ ko hamāre raunaq mahfil samajhte haiñ
jo maidān qiyāmat ko tirī mahfil samajhte haiñ
jo paar utarne vaale haiñ dariyā.e hastī se
ko vo kashtī qabr ko sāhil samajhte haiñ
liye haiñ sar vo zaanū par hamārā dam nikaltā hai
ham is ko zindagī bhar kā shafaq hāsil samajhte haiñ
hum us kuche ko jazb-e-shauq ki manzil samajhte hain
dar-e-jaanan ke har zarra ko apna dil samajhte hain
ubharna Dubne ko ishq mein ai dil samajhte hain
ye wo dariya hai jis ki tah ko hum sahil samajhte hain
taDapti KHak par josh-e-jahan dikhlai deti hai
hum is ko zauq-e-betabi mein apna dil samajhte hain
bimar har karwaT ko ek manzil samajhte hain
dard un ke liye hai naghma ishrat
wo nalon ko hamare raunaq mahfil samajhte hain
jo maidan qiyamat ko teri mahfil samajhte hain
jo par utarne wale hain dariyae hasti se
ko wo kashti qabr ko sahil samajhte hain
liye hain sar wo zanu par hamara dam nikalta hai
hum is ko zindagi bhar ka shafaq hasil samajhte hain
- Book : Tazkira-e-shora-e-Uttar Pradesh Voll.XI (Pg. 171)
- Author : Irfan Abbasi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.