Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

dil mein aks-e-mushaf-e-ruKHsar-e-jaanan dekhiye

Shafaq Emadpuri

dil mein aks-e-mushaf-e-ruKHsar-e-jaanan dekhiye

Shafaq Emadpuri

MORE BYShafaq Emadpuri

    dil meñ aks-e-mus.haf-e-ruḳhsār-e-jānāñ dekhiye

    ik na.ī sūrat se utrā hai ye qur.āñ dekhiye

    chashm-e-bīnā se ḳhudā.ī bhar ke sāmāñ dekhiye

    saarī duniyā saaf til-bhar meñ numāyāñ dekhiye

    hai qiyāmat sham.a-e-be-fānūs honā aap

    gul na hojāye charāġh-e-bazm-e-imkāñ dekhiye

    us ne dīvāna samajh kar hashr meñ baḳhshā mujhe

    kaam aayā hai kahāñ chāk-e-garebāñ dekhiye

    parda baḌhte baḌhte āḳhir parda-dar ho jāygā

    chhupte chhupte hoñge aap ik din numāyāñ dekhiye

    muskurāyā maiñ jo kaliyoñ qabā.eñ dekh kar

    hañs ke phūloñ ne kahā apnā garebāñ dekhiye

    merī taskīñ ho na ho baat aap rah jā.egī

    dard-e-dil go dekhne shai nahii. haañ dekhiye

    ḳhāna-e-muflis meñ jaise jalte dekhe hoñ charāġh

    yuuñ sitāre shām-e-ġham ke haiñ numāyāñ dekhiye

    chhāle kahte haiñ lahū ro-ro ke ġhurbat par mirī

    aur aage kyā dikhātā hai bayābāñ dekhiye

    rah gayā thā mere armānoñ se jo lipTā huā

    dil ke TukḌoñ meñ kahīñ hogā vo paikāñ dekhiye

    gulshan-e-hastī do-rañgī muraqqa.a hai 'shafaq'

    gul ko ḳhandāñ dekh kar shabnam ko giryāñ dekhiye

    dil mein aks-e-mushaf-e-ruKHsar-e-jaanan dekhiye

    ek nai surat se utra hai ye quran dekhiye

    chashm-e-bina se KHudai bhar ke saman dekhiye

    sari duniya saf til-bhar mein numayan dekhiye

    hai qiyamat shama-e-be-fanus hona aap ka

    gul na hojaye charagh-e-bazm-e-imkan dekhiye

    us ne diwana samajh kar hashr mein baKHsha mujhe

    kaam aaya hai kahan chaak-e-gareban dekhiye

    parda baDhte baDhte aaKHir parda-dar ho jayga

    chhupte chhupte honge aap ek din numayan dekhiye

    muskuraya main jo kaliyon ki qabaen dekh kar

    hans ke phulon ne kaha apna gareban dekhiye

    meri taskin ho na ho baat aap ki rah jaegi

    dard-e-dil go dekhne ki shai nahi han dekhiye

    KHana-e-muflis mein jaise jalte dekhe hon charagh

    yun sitare sham-e-gham ke hain numayan dekhiye

    chhaale kahte hain lahu ro-ro ke ghurbat par meri

    aur aage kya dikhata hai bayaban dekhiye

    rah gaya tha mere armanon se jo lipTa hua

    dil ke TukDon mein kahin hoga wo paikan dekhiye

    gulshan-e-hasti do-rangi ka muraqqa hai 'shafaq'

    gul ko KHandan dekh kar shabnam ko giryan dekhiye

    Source :
    • Book : Tazkira-e-shora-e-Uttar Pradesh Voll.XI (Pg. 172)
    • Author : Irfan Abbasi
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now