fana hokar hum aaghosh-e-baqa hota to kya hota
fanā hokar ham āġhosh-e-baqā hotā to kyā hotā
jo qatra thā vo dariyā āshnā hotā to kyā hotā
ḳhudī par aap ko kyā kyā samajhtā hai ḳhudā samjhe
ye banda be-ḳhudī se bā-ḳhudā hotā to kyā hotā
qiyāmat se nahīñ kam intizār-e-vasl kī muddat
ḳhudā jaane kahīñ va.ada vafā hotā to kyā hotā
'shafaq' hai nīstī phir bhī bashar ko da.ava-e-hastī
na hone par ye a.alam hai bhalā hotā to kyā hotā
fana hokar hum aaghosh-e-baqa hota to kya hota
jo qatra tha wo dariya aashna hota to kya hota
KHudi par aap ko kya kya samajhta hai KHuda samjhe
ye banda be-KHudi se ba-KHuda hota to kya hota
qiyamat se nahin kam intizar-e-wasl ki muddat
KHuda jaane kahin wada wafa hota to kya hota
'shafaq' hai nisti phir bhi bashar ko dawa-e-hasti
na hone par ye aalam hai bhala hota to kya hota
- Book : Tazkira-e-shora-e-Uttar Pradesh Voll.XI (Pg. 173)
- Author : Irfan Abbasi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.