ek aisi bhi tajalli is dil-e-muztar mein hai
ek aisī bhī tajallī is dil-e-muztar meñ hai
mehr jis se maah raushan aur chamak aḳhtar meñ hai
isliye bhī lāzim-o-malzūm hai ye sañg-o-sar
kuchh mere sar meñ hai saudā aur kuchh patthar meñ hai
haath dho baiThe haiñ apne diiñ se shaiḳh-o-barhaman
jaane kyā e.ajāz us chashm-e-parī-paikar meñ hai
mahv-ash-e-arz-o-samāñ meñ aaj tak mahbūs huuñ
aaj tak merī sadā us gumbad-e-be-dar meñ hai
ye sabhī faizān chashm-e-mast kā hai zāhido
jo subū meñ hai jo paimānoñ meñ hai sāgar meñ hai
ḳhaak van meñ chhāntā hai jis ko kahte the 'hasan'
kah diyā kisne ke vo dīvāna apne ghar meñ hai
ek aisi bhi tajalli is dil-e-muztar mein hai
mehr jis se mah raushan aur chamak aKHtar mein hai
isliye bhi lazim-o-malzum hai ye sang-o-sar
kuchh mere sar mein hai sauda aur kuchh patthar mein hai
hath dho baiThe hain apne din se shaiKH-o-barhaman
jaane kya eajaz us chashm-e-pari-paikar mein hai
mahw-ash-e-arz-o-saman mein aaj tak mahbus hun
aaj tak meri sada us gumbad-e-be-dar mein hai
ye sabhi faizan chashm-e-mast ka hai zahido
jo subu mein hai jo paimanon mein hai sagar mein hai
KHak wan mein chhanta hai jis ko kahte the 'hasan'
kah diya kisne ke wo diwana apne ghar mein hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.