main us aalam mein aa pahuncha tumhaare dard-e-hijran se
main us aalam mein aa pahuncha tumhaare dard-e-hijran se
Hasan Nawaz Shah
MORE BYHasan Nawaz Shah
maiñ us a.alam meñ aa pahuñchā tumhāre dard-e-hijrāñ se
kabhī tūfāñ hai kashtī se kabhī kashtī hai tūfāñ se
karam meñ bhī sitam kā zauq kar letā huuñ yuuñ paidā
maiñ aksar chāk-e-dil siitā huuñ unkī nok-e-mizhgāñ se
nasheman jal chukā hai bijliyāñ ab kyuuñ chamaktī haiñ
koī tinkā bacha hai kyā abhī jashn-e-charāġhāñ se
jigar TukḌe garebāñ chaak nishtar aañkh aur dil meñ
matā-e’-zindagī nikle haiñ ye vahshī ke sāmāñ se
asīroñ kī rihā.ī kī ḳhabar aa.ī jo zindāñ meñ
lipaT kar ro diye qaidī dar-o-divār-e-zindāñ se
agar ābād karnā ho kisī vīrān gulshan ko
zarā sī kHāk-e-dīvāna bhī le aanā bayābāñ se
'hasan' bas husn-e-jānāñ hī hai maz.hab dīn-o-millat bhī
na hindū se ġharaz ham ko na matlab hai musalmāñ se
main us aalam mein aa pahuncha tumhaare dard-e-hijran se
kabhi tufan hai kashti se kabhi kashti hai tufan se
karam mein bhi sitam ka zauq kar leta hun yun paida
main aksar chaak-e-dil sita hun unki nok-e-mizhgan se
nasheman jal chuka hai bijliyan ab kyun chamakti hain
koi tinka bacha hai kya abhi jashn-e-charaghan se
jigar TukDe gareban chaak nishtar aankh aur dil mein
mata-e’-zindagi nikle hain ye wahshi ke saman se
asiron ki rihai ki KHabar aai jo zindan mein
lipaT kar ro diye qaidi dar-o-diwar-e-zindan se
agar aabaad karna ho kisi viran gulshan ko
zara si kHak-e-diwana bhi le aana bayaban se
'hasan' bas husn-e-jaanan hi hai mazhab din-o-millat bhi
na hindu se gharaz hum ko na matlab hai musalman se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.