chehre pe kuchh musarrat-e-fasl-e-bahaar kya hai
chehre pe kuchh masarrat-e-fasl-e-bahār kyā hai
dil meñ alam kī shiddat-e-fasl-e-bahār kyā hai
har gul hai chāk-dāman har ġhuncha dil-e-girafta
ai bāġhbān-e-qudrat fasl-e-bahār kyā hai
nargis ko kuchh na sūjhe sausan ko chup lagī hai
shabnam ke ashk-e-hasrat fasl-e-bahār kyā hai
sayyād aur gulchīñ donoñ kī ban paḌī hai
bulbul kī phūTī qismat fasl-e-bahār kyā hai
be-shak 'hasan' bajā hai dīvāna us kā banñā
samjhe jo fil-haqīqat fasl-e-bahār kyā hai
chehre pe kuchh masarrat-e-fasl-e-bahaar kya hai
dil mein alam ki shiddat-e-fasl-e-bahaar kya hai
har gul hai chaak-daman har ghuncha dil-e-girafta
ai baghban-e-qudrat fasl-e-bahaar kya hai
nargis ko kuchh na sujhe sausan ko chup lagi hai
shabnam ke ashk-e-hasrat fasl-e-bahaar kya hai
sayyaad aur gulchin donon ki ban paDi hai
bulbul ki phuTi qismat fasl-e-bahaar kya hai
be-shak 'hasan' baja hai diwana us ka banna
samjhe jo fil-haqiqat fasl-e-bahaar kya hai
- Book : Tazkira Sho.ara-e-Warsia (Pg. 94)
- Publication : Fine Books Printers (1993)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.