aur to kuchh bhi nahin mere junun ka bais
aur to kuchh bhī nahīñ mere junūñ kā baa.is
bas vahī kun jo banā thā fayakūñ kā baa.is
qadġhaneñ mere savāloñ pe lagāne vaale
DhūñDte kyuuñ nahīñ kaise kā vo kyuuñ kā baa.is
ham ne vo vaqt bhī kaaTā hai ke jis vaqt meñ log
ḳhud-kushī ko hī samajhte haiñ sakūñ kā baa.is
saaz dil par tirī yādoñ ne jo chheḌā dīpak
ban gayā raag yahi soz-e-darūñ kā baa.is
ik gavāhī kisī mazlūm ke haq meñ dī thī
ban na jaa.e vo gavāhī mere ḳhuuñ kā baa.is
aur to kuchh bhi nahin mere junun ka bais
bas wahi kun jo bana tha fayakun ka bais
qadghanen mere sawalon pe lagane wale
DhunDte kyun nahin kaise ka wo kyun ka bais
hum ne wo waqt bhi kaTa hai ke jis waqt mein log
KHud-kushi ko hi samajhte hain sakun ka bais
saz dil par teri yaadon ne jo chheDa dipak
ban gaya rag yahi soz-e-darun ka bais
ek gawahi kisi mazlum ke haq mein di thi
ban na jae wo gawahi mere KHun ka bais
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.