KHana-ba-dosh hain na hi daman-darida log
ḳhāna-ba-dosh haiñ na hī dāman-darīda log
chehroñ ko dekh ham haiñ masāfat-kashīda log
chashme ubal paḌe haiñ jo sahrā meñ jā-ba-jā
do chaar din rahe the yahāñ āb-dīda log
parvāz kī sakat na sahī tajraba to hai
mumkin hai kaam aa.eñ kahīñ par-burīda log
tā'bīr kuchh batāo ki tadbīr kar sakūñ
ḳhvāboñ meñ aa rahe haiñ ka.ī barguzīda log
un kī nazar meñ hech hai ye vus'at-e-falak
baiThe haiñ bazm-e-yār meñ jo sar-ḳhamīda log
ab to hasad kā saaz hai aur nafratoñ ke giit
ab to haiñ ḳhāl-ḳhāl yahāñ ḳhush-’aqīda log
maanā 'jamāl' jazba-e-kāmil hai tere paas
chalte haiñ rāh-e-'ishq pe lekin chunīda log
KHana-ba-dosh hain na hi daman-darida log
chehron ko dekh hum hain masafat-kashida log
chashme ubal paDe hain jo sahra mein ja-ba-ja
do chaar din rahe the yahan aab-dida log
parwaz ki sakat na sahi tajraba to hai
mumkin hai kaam aaen kahin par-burida log
ta'bir kuchh batao ki tadbir kar sakun
KHwabon mein aa rahe hain kai barguzida log
un ki nazar mein hech hai ye wus'at-e-falak
baiThe hain bazm-e-yar mein jo sar-KHamida log
ab to hasad ka saz hai aur nafraton ke git
ab to hain KHal-KHal yahan KHush-’aqida log
mana 'jamal' jazba-e-kaamil hai tere pas
chalte hain rah-e-'ishq pe lekin chunida log
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.