gul-e-harif teri zulf ki panah mein hai
gul-e-harīf tirī zulf kī panāh meñ hai
'ajab charāġh-e-raqābat shab-e-siyāh meñ hai
do-ātisha hai ye sho'ala jo merī aah meñ hai
ki mere saath mirā ḳhvāb qatl-gāh meñ hai
kahīñ use hī na kahte hoñ sūr-e-isrāfīl
'ajīb shor-e-qiyāmat dil-e-tabāh meñ hai
asar na ho kisī sahrā-navard kā un par
ye iztirāb-e-musalsal jo mehr-o-māh meñ hai
fasīl-e-chashm pe kitne charāġh raushan haiñ
koī to hai jo abhī dil kī ḳhānqāh meñ hai
sambhal ke tiir chalā dil pe lag na jaa.e kahīñ
ye ek terā sipāhī mirī sipāh meñ hai
kuchh aur hai to kabhī sāmne vo le aa.eñ
ye ‘arsh-o-farsh to kab se mirī nigāh meñ hai
uḌī huī haiñ havā kī havā.iyāñ bhī 'jamāl'
ki ik charāġh abhī tak mirī panāh meñ hai
gul-e-harif teri zulf ki panah mein hai
'ajab charagh-e-raqabat shab-e-siyah mein hai
do-atisha hai ye sho'ala jo meri aah mein hai
ki mere sath mera KHwab qatl-gah mein hai
kahin use hi na kahte hon sur-e-israfil
'ajib shor-e-qiyamat dil-e-tabah mein hai
asar na ho kisi sahra-naward ka un par
ye iztirab-e-musalsal jo mehr-o-mah mein hai
fasil-e-chashm pe kitne charagh raushan hain
koi to hai jo abhi dil ki KHanqah mein hai
sambhal ke tir chala dil pe lag na jae kahin
ye ek tera sipahi meri sipah mein hai
kuchh aur hai to kabhi samne wo le aaen
ye ‘arsh-o-farsh to kab se meri nigah mein hai
uDi hui hain hawa ki hawaiyan bhi 'jamal'
ki ek charagh abhi tak meri panah mein hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.