istiKhaara ya munajat nahin kar sakte
istiḳhāra yā munājāt nahīñ kar sakte
ham ḳhudā se bhī tirī baat nahīñ kar sakte
kaun se kaam kī ḳhātir mujhe bulvāyā hai
jo tire shahar ke suqrāt nahīñ kar sakte
ham vo darvesh kabhī lā se jo aage na ga.e
nafī kar deñ to phir isbāt nahīñ kar sakte
abr-o-bārān meñ haiñ girya-kunāñ arz-o-samā
bil-mushāfa jo mulāqāt nahīñ kar sakte
kaisī qadġhan hai ki bas dekhte rahnā hai use
jaane vaale se savālāt nahīñ kar sakte
jo bhī hai apne hī karmoñ kā natīja hai 'jamāl'
shikva-e-talḳhi-e-hālāt nahīñ kar sakte
istiKHara ya munajat nahin kar sakte
hum KHuda se bhi teri baat nahin kar sakte
kaun se kaam ki KHatir mujhe bulwaya hai
jo tere shahar ke suqraat nahin kar sakte
hum wo darwesh kabhi la se jo aage na gae
nafi kar den to phir isbaat nahin kar sakte
abr-o-baran mein hain girya-kunan arz-o-sama
bil-mushafa jo mulaqat nahin kar sakte
kaisi qadghan hai ki bas dekhte rahna hai use
jaane wale se sawalat nahin kar sakte
jo bhi hai apne hi karmon ka natija hai 'jamal'
shikwa-e-talKHi-e-haalat nahin kar sakte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.