tasir ashk-o-kHun-e-jigar jaanta hun main
tāsīr ashk-o-kHūn-e-jigar jāntā huuñ maiñ
kaise bane haiñ lā'l-o-gohar jāntā huuñ maiñ
vo raaz khol jo na hue mujh pe munkashif
ramz-e-alast mere ḳhizr jāntā huuñ maiñ
mujh ko dhanik ke vāste kaafī haiñ ashk-o-kHūn
rañgoñ se khelne kā hunar jāntā huuñ maiñ
jo 'aam rāsta hai vo to jānte haiñ aap
ik ḳhaas bhī hai rāh-guzar jāntā huuñ maiñ
lahja hai kis kā aur zabāñ kis kī hai 'jamāl'
hai kaun kis ke zer-e-asar jāntā huuñ maiñ
tasir ashk-o-kHun-e-jigar jaanta hun main
kaise bane hain la'l-o-gohar jaanta hun main
wo raaz khol jo na hue mujh pe munkashif
ramz-e-alast mere KHizr jaanta hun main
mujh ko dhanik ke waste kafi hain ashk-o-kHun
rangon se khelne ka hunar jaanta hun main
jo 'am rasta hai wo to jaante hain aap
ek KHas bhi hai rah-guzar jaanta hun main
lahja hai kis ka aur zaban kis ki hai 'jamal'
hai kaun kis ke zer-e-asar jaanta hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.