Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

aTki hui hai koi nazar aasman par

Haseeb Jamal

aTki hui hai koi nazar aasman par

Haseeb Jamal

MORE BYHaseeb Jamal

    aTkī huī hai koī nazar āsmān par

    ai shab zarā-sī der Thahar āsmān par

    chāhtā thā dekh luuñ terī zamīn bhī

    varna to 'ālī-shān thā ghar āsmān par

    ham ne taḳhaiyyulāt se apne liyā ye kaam

    ham ne banā.ī rāh-e-guzar āsmān par

    hablil-varīd kah ke patā jis ne de diyā

    DhūñDoge aur us ko kidhar āsmān par

    ahl-e-zamīñ aañkh se kaise chhupegā vo

    dikhlā.egā jo apnā hunar āsmān par

    taḳhlīq-e-ādmī se le ke aaj tak 'jamāl'

    phailā hai ik 'ajīb Dar āsmān par

    aTki hui hai koi nazar aasman par

    ai shab zara-si der Thahar aasman par

    ji chahta tha dekh lun teri zamin bhi

    warna to 'ali-shan tha ghar aasman par

    hum ne taKHaiyyulat se apne liya ye kaam

    hum ne banai rah-e-guzar aasman par

    hablil-warid kah ke pata jis ne de diya

    DhunDoge aur us ko kidhar aasman par

    ahl-e-zamin ki aankh se kaise chhupega wo

    dikhlaega jo apna hunar aasman par

    taKHliq-e-admi se le ke aaj tak 'jamal'

    phaila hai ek 'ajib hi Dar aasman par

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now