ashk sab zaKHm khurach kar nikal aae hain mere
ashk sab zaḳhm khurach kar nikal aa.e haiñ mire
maiñ to samjhā thā rafūgar nikal aa.e haiñ mire
dekhiye aap kī ḳhātir maiñ ne kyā kyā na kiyā
paañv chādar se bhī bāhar nikal aa.e haiñ mire
vo jo kahtā thā ki paiġhām nahīñ milte mujhe
us ke āñgan se kabūtar nikal aa.e haiñ mire
kaise inkār ho jab qālū-balā kī sūrat
dastaḳhat bhī sar-e-mahshar nikal aa.e haiñ mire
vo jo ātish-zada alfāz adā kar na sakā
aable ban ke zabāñ par nikal aa.e haiñ mire
un ko shāyad nahīñ andāza riyāzat kā mirī
jin ko lagtā hai ki ab par nikal aa.e haiñ mire
sochtā hogā falak dekh ke parvāz-e-bashar
ye zamīñ-zād barābar nikal aa.e haiñ mire
kis kī āvāz pe labbaik kahā maiñ ne 'jamāl'
ḳhud-ba-ḳhud paañv safar par nikal aa.e haiñ mire
ashk sab zaKHm khurach kar nikal aae hain mere
main to samjha tha rafugar nikal aae hain mere
dekhiye aap ki KHatir main ne kya kya na kiya
panw chadar se bhi bahar nikal aae hain mere
wo jo kahta tha ki paigham nahin milte mujhe
us ke aangan se kabutar nikal aae hain mere
kaise inkar ho jab qalu-bala ki surat
dastaKHat bhi sar-e-mahshar nikal aae hain mere
wo jo aatish-zada alfaz ada kar na saka
aable ban ke zaban par nikal aae hain mere
un ko shayad nahin andaza riyazat ka meri
jin ko lagta hai ki ab par nikal aae hain mere
sochta hoga falak dekh ke parwaz-e-bashar
ye zamin-zad barabar nikal aae hain mere
kis ki aawaz pe labbaik kaha main ne 'jamal'
KHud-ba-KHud panw safar par nikal aae hain mere
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.