rakkha nahin hai dair-o-haram ne qarin mujhe
rakkhā nahīñ hai dair-o-haram ne qarīñ mujhe
jaane pukārtī hai kahāñ kī zamīñ mujhe
rāh-e-sulūk-o-'ishq kī ḳhvāhish to hai magar
karnī hai pahle dafn anā bhī kahīñ mujhe
har sū kisī ḳhudā kā mahal hai mire ḳhudā
kis dar pe jā ke rakhnī hai apnī jabīñ mujhe
itnā ulajh ke rah gayā kār-e-jahān meñ
apne liye hī vaqt muyassar nahīñ mujhe
rakkha nahin hai dair-o-haram ne qarin mujhe
jaane pukarti hai kahan ki zamin mujhe
rah-e-suluk-o-'ishq ki KHwahish to hai magar
karni hai pahle dafn ana bhi kahin mujhe
har su kisi KHuda ka mahal hai mere KHuda
kis dar pe ja ke rakhni hai apni jabin mujhe
itna ulajh ke rah gaya kar-e-jahan mein
apne liye hi waqt muyassar nahin mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.