qasam KHuda ki tujhe bas KHuda nahin samjha
qasam ḳhudā kī tujhe bas ḳhudā nahīñ samjhā
vagarna is ke sivā aur kyā nahīñ samjhā
'ajab hai tujh se bichhaḌ ke nikhar gayā huuñ maiñ
ḳhizāñ meñ phuul ye kaise khilā nahīñ samjhā
isī liye to mujhe mushkiloñ ne gher liyā
jahāñ pe thā maiñ vahāñ kī havā nahīñ samjhā
tamām 'umr rahegā ye rañj saath mire
ki merī baat koī dūsrā nahīñ samjhā
vo jis ke baa'd har ik ġham ḳhushī meñ Dhal jaa.e
maiñ zindagī kā vahī marhala nahīñ samjhā
tū pūchhtā hai ki ḳhāmosh guftugū kyā hai
tū dil se dil kā yahī rābta nahīñ samjhā
'jamāl' us ne agar kah diyā to kyā laḌnā
vo kaun hai jo hameñ sar-phirā nahīñ samjhā
qasam KHuda ki tujhe bas KHuda nahin samjha
wagarna is ke siwa aur kya nahin samjha
'ajab hai tujh se bichhaD ke nikhar gaya hun main
KHizan mein phul ye kaise khila nahin samjha
isi liye to mujhe mushkilon ne gher liya
jahan pe tha main wahan ki hawa nahin samjha
tamam 'umr rahega ye ranj sath mere
ki meri baat koi dusra nahin samjha
wo jis ke ba'd har ek gham KHushi mein Dhal jae
main zindagi ka wahi marhala nahin samjha
tu puchhta hai ki KHamosh guftugu kya hai
tu dil se dil ka yahi rabta nahin samjha
'jamal' us ne agar kah diya to kya laDna
wo kaun hai jo hamein sar-phira nahin samjha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.