sabhi jis ke pujari hain hama-tan ek patthar hai
sabhī jis ke pujārī haiñ hama-tan ek patthar hai
kahīñ vo sañg-e-asvad hai kahīñ mandir meñ Thākur hai
vahī raaja kī maalā hai vahī raanī kā zevar hai
usī patthar kī masjid hai usī patthar kā mandir hai
kahīñ vo sañg-e-asvad hai kahīñ vo sañg-e-marmar hai
kahīñ vo sūrat-e-āhan kisī kisvat meñ vo zar hai
faqat hai hastī-e-vāhid sivā jis kā nahīñ koī
vahī momin kā allāh hai vahī hindu kā īshvar hai
haqīqat ek hai har aan meñ har shaan meñ zāhir
'hasīñ' hai sab hasīnoñ kā vo bahr-e-husn har ghar hai
sabhi jis ke pujari hain hama-tan ek patthar hai
kahin wo sang-e-aswad hai kahin mandir mein Thakur hai
wahi raja ki mala hai wahi rani ka zewar hai
usi patthar ki masjid hai usi patthar ka mandir hai
kahin wo sang-e-aswad hai kahin wo sang-e-marmar hai
kahin wo surat-e-ahan kisi kiswat mein wo zar hai
faqat hai hasti-e-wahid siwa jis ka nahin koi
wahi momin ka allah hai wahi hindu ka ishwar hai
haqiqat ek hai har aan mein har shan mein zahir
'hasin' hai sab hasinon ka wo bahr-e-husn har ghar hai
- Book : Munajat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.