kya karun kis se kahun dil hath se jata raha
kyā karūñ kis se kahūñ dil haath se jaatā rahā
sū-ba-sū DhūñDā phirā lekin na kuchh paatā rahā
masjid-o-mandir kalīsā kī bhī chhānā ḳhaak ko
har kujā DhūñDā na paayā bahut ghabrātā rahā
qurra-e-fāl munajjim meñ kitāboñ meñ kahāñ
ism-e-kHvānī varaq-gardānī meñ jhuñjhlātā rahā
kar diyā tash.hīr notice 'ishq ne rusvā kiyā
'arsh in gustāḳhiyoñ se bas ki laraztā rahā
nayyar-e-ā’zam tahayyur meñ huā pesh-e-ḳhudā
yak bashar ahl-e-zamīñ be-chain ġham khātā rahā
shoḳh hai gustāḳh hai vallāhu-'ālam-bissavāb
na farishtoñ ko ḳhabar hai kyuuñ ye chalātā rahā
ḳhair-maqdam kHush-kHirām-e-kHud hue jalva-numā
maiñ huā qurbān vo naġhma-e-anā gaatā rahā
muskurā kar naaz se duzdī nazar dekhā mujhe
maiñ huā un meñ fanā bas vo nazar aatā rahā
maiñ huā us meñ fanā vo mujh meñ jalva-gar huā
ho ke ḳhud husn 'hasīñ' dīdār dikhlātā rahā
kya karun kis se kahun dil hath se jata raha
su-ba-su DhunDa phira lekin na kuchh pata raha
masjid-o-mandir kalisa ki bhi chhana KHak ko
har kuja DhunDa na paya bahut ghabraata raha
qurra-e-fal munajjim mein kitabon mein kahan
ism-e-kHwani waraq-gardani mein jhunjhlata raha
kar diya tashhir notice 'ishq ne ruswa kiya
'arsh in gustaKHiyon se bas ki larazta raha
nayyar-e-a’zam tahayyur mein hua pesh-e-KHuda
yak bashar ahl-e-zamin be-chain gham khata raha
shoKH hai gustaKH hai wallahu-'alam-bissawab
na farishton ko KHabar hai kyun ye chalata raha
KHair-maqdam kHush-kHiram-e-kHud hue jalwa-numa
main hua qurban wo naghma-e-ana gata raha
muskura kar naz se duzdi nazar dekha mujhe
main hua un mein fana bas wo nazar aata raha
main hua us mein fana wo mujh mein jalwa-gar hua
ho ke KHud husn 'hasin' didar dikhlata raha
- Book : Munajat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.