wah saqiya tera mai-kada aabaad hai aabaad hai
vaah sāqiyā terā mai-kada ābād hai ābād hai
aur bāda-ḳhvāroñ ke liye har dam mubārakbād hai
ye baada kyā ik naar hai man-o-tū se us kī ḳhaar hai
ik jar'a ne fauran mujhe ab kar diyā barbād hai
aisā fanā kī aag meñ jal kar fanā hī ho rahā
na maiñ rahā na kuchh merā baaqī na mujh ko yaad hai
sar-e-mū nahīñ baaqī rahā ab tū hī tū har aan meñ
tū tū ke kahne se bhī ye banda terā āzād hai
pas kuchh nahīñ huuñ kaun huuñ aur kyā huuñ kaise huuñ kahāñ
ye tujh binā ab kaun hai aur kis kā ye irshād hai
na thā kabhī na huuñ abhī na hūñgā maiñ phir phir kabhī
na ḳhaak hai na aab hai na ātish-o-na baad hai
pas huuñ agar to 'aib huuñ juz 'aib ke aur kuchh nahīñ
bas 'aib merā naam hai aur 'aib kī buniyād hai
kyā shaad hai kyā shaad hai na kam hai na īzād hai
ābād na barbād na muhtāj na āzād hai
kaho re 'hasīñ' ab kaun hai kyā phir tū hovegā kabhī
kar tauba apnī tauba se tauba terī ilhād hai
wah saqiya tera mai-kada aabaad hai aabaad hai
aur baada-KHwaron ke liye har dam mubarakbaad hai
ye baada kya ek nar hai man-o-tu se us ki KHar hai
ek jar'a ne fauran mujhe ab kar diya barbaad hai
aisa fana ki aag mein jal kar fana hi ho raha
na main raha na kuchh mera baqi na mujh ko yaad hai
sar-e-mu nahin baqi raha ab tu hi tu har aan mein
tu tu ke kahne se bhi ye banda tera aazad hai
pas kuchh nahin hun kaun hun aur kya hun kaise hun kahan
ye tujh bina ab kaun hai aur kis ka ye irshad hai
na tha kabhi na hun abhi na hunga main phir phir kabhi
na KHak hai na aab hai na aatish-o-na baad hai
pas hun agar to 'aib hun juz 'aib ke aur kuchh nahin
bas 'aib mera nam hai aur 'aib ki buniyaad hai
kya shad hai kya shad hai na kam hai na izad hai
aabaad na barbaad na muhtaj na aazad hai
kaho re 'hasin' ab kaun hai kya phir tu howega kabhi
kar tauba apni tauba se tauba teri ilhad hai
- Book : Munajat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.