mera dam ghuT ke maqtal mein tan-e-bismil se niklega
mirā dam ghuT ke maqtal meñ tan-e-bismil se niklegā
fuġhāñ muñh se na niklegī na naala dil se niklegā
na bote tukHm-e-ulfat ham kabhī dil meñ ḳhabar kyā thī
ki ye khetī vo hai jis meñ samar mushkil se niklegā
nahīñ aatī qazā maqtal meñ kHauf-e-teġh-e-qātil se
ilāhī ḳhair kyūñ-kar dam tan-e-bismil se niklegā
qiyāmat jaan kar murde nikal ā.eñge qabroñ se
'hasham' jab aah kā na.ara dil-e-bismil se niklegā
mera dam ghuT ke maqtal mein tan-e-bismil se niklega
fughan munh se na niklegi na nala dil se niklega
na bote tukHm-e-ulfat hum kabhi dil mein KHabar kya thi
ki ye kheti wo hai jis mein samar mushkil se niklega
nahin aati qaza maqtal mein kHauf-e-tegh-e-qatil se
ilahi KHair kyun-kar dam tan-e-bismil se niklega
qiyamat jaan kar murde nikal aaenge qabron se
'hasham' jab aah ka nara dil-e-bismil se niklega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.