kahe mabud KHud apni zaban se jis ko la-sani
kahe mā'būd ḳhud apnī zabāñ se jis ko lā-sānī
bhalā phir abad se kyā ho sake us kī sanā-ḳhvānī
qur.āñ hai saath un ke aur vo haiñ saath qur.āñ ke
sar-e-nok-e-sināñ jis ne paḌheñ āyāt qur.ānī
na dekhūñ aañkh uThā kar bhī kabhī taḳht-e-sulaimāñ ko
agar hāsil mujhe ho jaa.e tere dar kī darbānī
dukān-e-husn-e-yūsuf misr ke bāzār hī tak thī
munavvar nūr-e-ahmad se huā kul 'ālam-e-fānī
misāl-e-nūh-e-hashmat āl-e-ahmad kā safīna hai
mile jā jis ko us meñ kyā use kHauf-o-pareshānī
kahe ma'bud KHud apni zaban se jis ko la-sani
bhala phir abad se kya ho sake us ki sana-KHwani
quran hai sath un ke aur wo hain sath quran ke
sar-e-nok-e-sinan jis ne paDhen aayat qurani
na dekhun aankh uTha kar bhi kabhi taKHt-e-sulaiman ko
agar hasil mujhe ho jae tere dar ki darbani
dukan-e-husn-e-yusuf misr ke bazar hi tak thi
munawwar nur-e-ahmad se hua kul 'alam-e-fani
misal-e-nuh-e-hashmat aal-e-ahmad ka safina hai
mile ja jis ko us mein kya use kHauf-o-pareshani
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.