Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

hashr mein dekha jo aamada-e-faryaad mujhe

Kamaal Azimabadi

hashr mein dekha jo aamada-e-faryaad mujhe

Kamaal Azimabadi

MORE BYKamaal Azimabadi

    hashr meñ dekhā jo āmāda-e-faryād mujhe

    hañs ke bole ki tire haath hai izzat merī

    aafat hai talab ai dil-e-nāshād kisī

    sab kuchh kare insān na kare yaad kisī

    vo zulf-e-mushk-bū kyā jaane kyā hai

    tirī ḳhushbū-e-sabā kyā jaane kyā hai

    ham to ai dard na minnat-kash-e-darmāñ hoñge

    aur hoñge jo sharminda-e-ehsāñ hoñge

    sar judā hogā to ham hoñge subuk-dosh 'kamāl'

    dahan-e-zaḳhm se qātil ke sanā-ḳhvāñ hoñge

    hashr mein dekha jo aamada-e-faryaad mujhe

    hans ke bole ki tere hath hai izzat meri

    aafat hai talab ai dil-e-nashad kisi ki

    sab kuchh kare insan na kare yaad kisi ki

    wo zulf-e-mushk-bu kya jaane kya hai

    teri KHushbu-e-saba kya jaane kya hai

    hum to ai dard na minnat-kash-e-darman honge

    aur hi honge jo sharminda-e-ehsan honge

    sar juda hoga to hum honge subuk-dosh 'kamal'

    dahan-e-zaKHm se qatil ke sana-KHwan honge

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now