hasinon pe ta-zist marte rahenge
hasīnoñ pe tā-zīst marte raheñge
ye hai kaam karne kā karte raheñge
tire tiir sab mere dil ke liye haiñ
guzar bhī chuke haiñ guzarte raheñge
shab-e-vasl yūñhīñ sahar ho na jaa.e
janāb aap kab tak nikharte raheñge
agar zindagī hai to is meñ 'akbar'
vo zinda raheñge jo marte rahaiñge
hasinon pe ta-zist marte rahenge
ye hai kaam karne ka karte rahenge
tere tir sab mere dil ke liye hain
guzar bhi chuke hain guzarte rahenge
shab-e-wasl yunhin sahar ho na jae
janab aap kab tak nikharte rahenge
agar zindagi hai to is mein 'akbar'
wo zinda rahenge jo marte rahainge
- Book : Jazbat-e-Akbar (Pg. 190)
- Author :Shah Akbar Danapuri
- Publication : Agra Akhbar Press, Agra (1915)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.