falak par jo shams-o-qamar dekhte hain
falak par jo shams-o-qamar dekhte haiñ
to ham apnā dāġh-e-jigar dekhte haiñ
sunā hai ye jab se vo haiñ aane vaale
to phir phir ke dīvār-o-dar dekhte haiñ
vo ā.īna ke rū-ba-rū mahv-e-sūrat
idhar dekhte haiñ udhar dekhte haiñ
shafaq un kī āñkhoñ meñ kiyā jalva-gar hai
ki shām-o-sahar dopahar dekhte haiñ
nazākat kī had hai ki har har qadam par
vo chalne se pahle kamar dekhte haiñ
na marte haiñ but par na hūroñ pe zāhid
tamāshā sanam kā magar dekhte haiñ
kalīsā ho kā'ba ho yā tūr-e-sīnā
sab us ke hī jalva kā ghar dekhte haiñ
vahī hai ‘hasīr’ aap kahte haiñ sab se
jise kū-ba-kū dar-ba-dar dekhte haiñ
falak par jo shams-o-qamar dekhte hain
to hum apna dagh-e-jigar dekhte hain
suna hai ye jab se wo hain aane wale
to phir phir ke diwar-o-dar dekhte hain
wo aaina ke ru-ba-ru mahw-e-surat
idhar dekhte hain udhar dekhte hain
shafaq un ki aankhon mein kiya jalwa-gar hai
ki sham-o-sahar dopahar dekhte hain
nazakat ki had hai ki har har qadam par
wo chalne se pahle kamar dekhte hain
na marte hain but par na huron pe zahid
tamasha sanam ka magar dekhte hain
kalisa ho ka'ba ho ya tur-e-sina
sab us ke hi jalwa ka ghar dekhte hain
wahi hai ‘hasir’ aap kahte hain sab se
jise ku-ba-ku dar-ba-dar dekhte hain
- Book : Dabistan-E-Azimabad (Pg. 101)
- Publication : Nikhar Press, Mau Nath Bhanjan (1982)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.