ziya-e-mehr hai nur-e-qamar he
ziyā-e-mehr hai nūr-e-qamar he
jamāl-e-yār har-sū jalva-gar hai
sarishk-e-shauq ke rutbe haiñ aalī
ki un se āstīn-e-husn tar hai
nahīñ ik dil hī betāb-e-ġham-e-hijr
ki hāl-e-jāñ bhī kuchh nau-e-digar hai
chale haiñ phoḌne ko sar kahāñ ham
ki us dar tak bhalā kis kā guzar hai
hai zāhid ko bhī fikr-e-tark-e-duniyā
ġharaz yaañ rañj se kis ko mafar hai
dil-e-muztar ko DhūñDo us galī meñ
vahīñ hogā kahīñ maujūd agar hai
vazīfe sab chhuTe ik naam terā
duā-e-shām hai vird-e-sahar hai
ba-zāhir be-ḳhabar hai aql-e-'hasrat'
haqīqat meñ use sab kuchh ḳhabar hai
ziya-e-mehr hai nur-e-qamar he
jamal-e-yar har-su jalwa-gar hai
sarishk-e-shauq ke rutbe hain aali
ki un se aastin-e-husn tar hai
nahin ek dil hi betab-e-gham-e-hijr
ki haal-e-jaan bhi kuchh nau-e-digar hai
chale hain phoDne ko sar kahan hum
ki us dar tak bhala kis ka guzar hai
hai zahid ko bhi fikr-e-tark-e-duniya
gharaz yan ranj se kis ko mafar hai
dil-e-muztar ko DhunDo us gali mein
wahin hoga kahin maujud agar hai
wazife sab chhuTe ek nam tera
dua-e-sham hai wird-e-sahar hai
ba-zahir be-KHabar hai aql-e-'hasrat'
haqiqat mein use sab kuchh KHabar hai
- Book : Kulliyat-e-Hasrat Mohani (Pg. 194)
- Author : Hasrat Mohani
- Publication : Maktaba Isha.at Urdu, Delhi (1959)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.