parde se ek jhalak jo wo dikhla ke rah gae
parde se ik jhalak jo vo dikhlā ke rah ga.e
mushtāq-e-dīd aur bhī lalchā ke rah ga.e
gum-karda rāh-e-ishq fanā kyuuñ na ho gayā
ehsāñ jo us pe ḳhizr-o-masīhā ke rah ga.e
ā.īne meñ vo dekh rahe the bahār-e-husn
aayā mirā ḳhayāl to sharmā ke rah ga.e
jab āshiqoñ se sadma-e-hijrāñ na uTh sakā
āḳhir ko ek rose vo sam khā ke rah ga.e
jab vo chhuTā to kuchh na rahā dil meñ ik magar
dāġh-e-firāq us gul-e-ra.anā ke rah ga.e
milne kī un se ek bhī sūrat na ban paḌī
saare musavvade dil-e-dānā ke rah ga.e
bebāk thā ze-baski mirā iztirāb-e-shauq
sharmā ke vo kabhī kabhī jhuñjhlā ke rah ga.e
dil kī lagī bujhā bhī vo sakte to baat thī
ye kyā huā ki aag hī bhaḌkā ke rah ga.e
aa.e bhī vo chale bhī ga.e vo misāl-e-barq
dil hī meñ hausle dil-e-shaidā ke rah ga.e
kyā dil meñ aa ga.ī jo ze-rāh-e-kamāl-e-rahm
da.avā vo mere qatl kā farmā ke rah ga.e
pahle to ḳhuun merā bahāyā ḳhushī ḳhushī
phir kyā vo ḳhud hī soche ki pachhtā ke rah ga.e
da.avā-e-āshiqī hai to 'hasrat' kaaro nibāh
ye kyā ki ibtidā hī meñ ghabrā ke rah ga.e
parde se ek jhalak jo wo dikhla ke rah gae
mushtaq-e-did aur bhi lalcha ke rah gae
gum-karda rah-e-ishq fana kyun na ho gaya
ehsan jo us pe KHizr-o-masiha ke rah gae
aaine mein wo dekh rahe the bahaar-e-husn
aaya mera KHayal to sharma ke rah gae
jab aashiqon se sadma-e-hijran na uTh saka
aaKHir ko ek rose wo sam kha ke rah gae
jab wo chhuTa to kuchh na raha dil mein ek magar
dagh-e-firaq us gul-e-rana ke rah gae
milne ki un se ek bhi surat na ban paDi
sare musawwade dil-e-dana ke rah gae
bebak tha ze-baski mera iztirab-e-shauq
sharma ke wo kabhi kabhi jhunjhla ke rah gae
dil ki lagi bujha bhi wo sakte to baat thi
ye kya hua ki aag hi bhaDka ke rah gae
aae bhi wo chale bhi gae wo misal-e-barq
dil hi mein hausle dil-e-shaida ke rah gae
kya dil mein aa gai jo ze-rah-e-kamal-e-rahm
dawa wo mere qatl ka farma ke rah gae
pahle to KHun mera bahaya KHushi KHushi
phir kya wo KHud hi soche ki pachhta ke rah gae
dawa-e-ashiqi hai to 'hasrat' karo nibah
ye kya ki ibtida hi mein ghabra ke rah gae
- Book : Kulliyat-e-Hasrat Mohani (Pg. 195)
- Author : Hasrat Mohani
- Publication : Maktaba Isha.at Urdu, Delhi (1959)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.