baam par aane lage wo samna hone laga
baam par aane lage vo sāmnā hone lagā
ab to iz.hār-e-mohabbat barmalā hone lagā
ishq se phir ḳhatra-e-tark-e-vafā hone lagā
phir fareb-e-husn sargarm-e-adā hone lagā
kyā kahā maiñ ne jo nāhaq tum ḳhafā hone lage
kuchh sunā bhī yā ki yūñhī faisla hone lagā
ab ġharīboñ par bhī saaqī kī nazar paḌne lagī
bāda-e-pasḳhurda ham ko bhī atā hone lagā
merī rusvā.ī se shikva hai ye un ke husn ko
ab jise dekho vo merā mubtalā hone lagā
yaad phir us bevafā kī har ghaḌī rahne lagī
phir usī kā tazkira sub.h-o-masā hone lagā
kuchh na pūchho haal kyā thā ḳhātir-e-betāb kā
un se jab majbūr ho kar maiñ judā hone lagā
shauq kī betābiyāñ had se guzar jaane lagīñ
vasl kī shab vā jo vo band-e-qabā hone lagā
kasrat-e-ummīd bhī aish-āfrīñ hone lagī
intizār-e-yār bhī rāhat-fazā hone lagā
ġhair se mil kar unheñ nāhaq huā merā ḳhayāl
mujh se kyā matlab bhalā maiñ kyuuñ ḳhafā hone lagā
qaid-e-ġham se tere jaañ āzād kyuuñ hone lagī
dām-e-gesū se tire dil kyuuñ rihā hone lagā
kyā huā 'hasrat' vo terā idda.ā-e-zabt-e-ġham
do hī din meñ rañj-e-furqat kā gilā hone lagā
baam par aane lage wo samna hone laga
ab to izhaar-e-mohabbat barmala hone laga
ishq se phir KHatra-e-tark-e-wafa hone laga
phir fareb-e-husn sargarm-e-ada hone laga
kya kaha main ne jo nahaq tum KHafa hone lage
kuchh suna bhi ya ki yunhi faisla hone laga
ab gharibon par bhi saqi ki nazar paDne lagi
baada-e-pasKHurda hum ko bhi ata hone laga
meri ruswai se shikwa hai ye un ke husn ko
ab jise dekho wo mera mubtala hone laga
yaad phir us bewafa ki har ghaDi rahne lagi
phir usi ka tazkira subh-o-masa hone laga
kuchh na puchho haal kya tha KHatir-e-betab ka
un se jab majbur ho kar main juda hone laga
shauq ki betabiyan had se guzar jaane lagin
wasl ki shab wa jo wo band-e-qaba hone laga
kasrat-e-ummid bhi aish-afrin hone lagi
intizar-e-yar bhi rahat-faza hone laga
ghair se mil kar unhen nahaq hua mera KHayal
mujh se kya matlab bhala main kyun KHafa hone laga
qaid-e-gham se tere jaan aazad kyun hone lagi
dam-e-gesu se tere dil kyun riha hone laga
kya hua 'hasrat' wo tera iddaa-e-zabt-e-gham
do hi din mein ranj-e-furqat ka gila hone laga
- Book : Kulliyat-e-Hasrat Mohani (Pg. 204)
- Author : Hasrat Mohani
- Publication : Maktaba Isha.at Urdu, Delhi (1959)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.