shab-e-furqat mein yaad us be-KHabar ki bar bar aai
shab-e-furqat meñ yaad us be-ḳhabar kī baar baar aa.ī
bhulānā ham ne bhī chāhā magar be-iḳhtiyār aa.ī
tire faiz-e-karam se diin ke dariyā meñ josh aayā
tire yumn-e-qadam se bāġh-e-īmāñ meñ bahār aa.ī
tirī mahfil se ai pīr-e-muġhān-e-āshiqī aksar
mashīḳhat nai-navāz aa.i fazīlat mai-gusār aa.ī
ummīdeñ tujh se thiiñ vābasta lākhoñ aarzū lekin
bahut ho kar tirī dargāh se be-e'tibār aa.ī
ilāhī rañg ye kab tak rahegā hijr-e-jānāñ meñ
ki roz-e-be-dilī guzrā to shām-e-intizār aa.ī
tirī be-e'tinā.ī ko ye āḳhir kyā ḳhayāl aayā
jo merī pursish-e-ġham ko ba-chashm-e-ashk-bār aa.ī
na haath aayā ba-juz rañj-o-balā kuchh ishq-e-'hasrat' ko
dayār-e-husn kī āb-o-havā nā-sāzgār aa.ī
shab-e-furqat mein yaad us be-KHabar ki bar bar aai
bhulana hum ne bhi chaha magar be-iKHtiyar aai
tere faiz-e-karam se din ke dariya mein josh aaya
tere yumn-e-qadam se bagh-e-iman mein bahaar aai
teri mahfil se ai pir-e-mughan-e-ashiqi aksar
mashiKHat nai-nawaz aai fazilat mai-gusar aai
ummiden tujh se thin wabasta lakhon aarzu lekin
bahut ho kar teri dargah se be-e'tibar aai
ilahi rang ye kab tak rahega hijr-e-jaanan mein
ki roz-e-be-dili guzra to sham-e-intizar aai
teri be-e'tinai ko ye aaKHir kya KHayal aaya
jo meri pursish-e-gham ko ba-chashm-e-ashk-bar aai
na hath aaya ba-juz ranj-o-bala kuchh ishq-e-'hasrat' ko
dayar-e-husn ki aab-o-hawa na-sazgar aai
- Book : Kulliyat-e-Hasrat Mohani (Pg. 225)
- Author : Hasrat Mohani
- Publication : Maktaba Isha.at Urdu, Delhi (1959)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.